Bohat hi maan hai tum par
suno paas wafa rakhna
sabhi se tum milo lekin
zara sa fasla rakhna
bicharna bhi to parta hai
zara sa hosla rakhna
wo saray wasl k lamhey
tum aankhon main saja rakhna
abhi imkaan baki hai
abhi lab par dua rakhna
bohat naayaab hain dekho
humain sab se juda rakhna
